Sulaiman Areeb

jo tere husn mein narmi bhi bankpan bhi hai

Sulaiman Areeb

Hyderabad, Telangana, India

1922-1970
jo tere husn meñ narmī bhī bāñkpan bhī hai
vo kaif-e-tāza bhī hai nashsha-e-kuhan bhī hai
mujhe to chain se rahne de ai dil-e-vahshī
ki dasht bhī hai tire sāmne chaman bhī hai
kahāñ kī manzil-e-maqsūd rāsta bhī nahīñ
safar meñ saath ḳhudā bhī hai ahrman bhī hai
vo ek lamha-e-parrāñ vo ek sā.at-e-dīd
hinā ba-dast bhī hai lāla-pairahan bhī hai
ba-chashm-e-shabnam-e-giryāñ agar koī dekhe
tirā libās hī ai gul tirā kafan bhī hai
vo ek gosha-e-dakan jise dakan kahiye
nigār shā.ir-e-badnām kā vatan bhī hai
Top Urdushayar.com