shikasta-pā  hī  sahī  duur  kī  sadā  hī  sahī
bikhar  gayā  jo  havā  se  vo  naqsh-e-pā  hī  sahī
ye  hukm  hai  ki  ga.e  mausamoñ  ko  yaad  karūñ
na.ī  rutoñ  kā  tajassus  mujhe  milā  hī  sahī
zamīñ  ke  ba.ad  abhī  āsmāñ  ke  dukh  bhī  sahūñ
mire  liye  ye  sazā  hai  baḌī  atā  hī  sahī
charāġh  kah  ke  mirā  nuur  mujh  se  chhīn  liyā
charāġh  phir  bhī  rahūñgā  bujhā  huā  hī  sahī
sajā  liye  haiñ  masā.ib  ke  niir  āñkhoñ  meñ
sukūñ  kī  niiñd  nahīñ  hai  to  ratjagā  hī  sahī
ai  dhaḌkanoñ  ko  nayā  nuur  baḳhshne  vaale
maiñ  nuur  se  hī  tahī  tū  mirī  ḳhatā  hī  sahī
haqīqatoñ  ke  badan  par  koī  labāda  nahīñ
agar  ye  sach  kī  sazā  hai  to  phir  sazā  hī  sahī
ye  dil  kā  karb  laboñ  tak  kabhī  na  aa.egā
mire  liye  ye  ḳhamoshī  kā  irtiqā  hī  sahī
jahāñ  ke  dard  ko  'anvār'  ne  sameT  liyā
maiñ  ik  ḳhushī  kī  tamannā  meñ  mar-miTā  hī  sahī