jahāñ  ḳhud-ġharziyāñ  hoñ  vo  nagar  achchhā  nahīñ  lagtā
ki  jis  meñ  bhaa.ī  laḌte  huuñ  vo  ghar  achchhā  nahīñ  lagtā
vo  dastār-e-anā  pahne  qabīle  kā  sitāra  hai
amīr-e-shahr  ko  lekin  vo  sar  achchhā  nahīñ  lagtā
jo  vālid  kā  buḌhāpe  meñ  sahārā  ban  nahīñ  saktā
jo  sach  pūchho  to  ho  laḳht-e-jigar  achchhā  nahīñ  lagtā
mujhe  to  pyaar  hai  un  se  jo  kaam  aate  haiñ  auroñ  ke
faqat  daulat  kamāne  kā  hunar  achchhā  nahīñ  lagtā
chaman  ko  rauñdne  vaale  ko  rahbar  kis  tarah  mānūñ
vo  ḳhud  achchhā  bane  mujh  ko  magar  achchhā  nahīñ  lagtā
mujhe  to  pyaar  vaalī  apnī  kuTiyā  achchhī  lagtī  hai
jo  aivāñ  nafrateñ  de  us  kā  dar  achchhā  nahīñ  lagtā
jo  bachche  bhuul  kar  rañgīniyoñ  meñ  ġharq  ho  jaa.e
ḳhudā  shāhid  hai  mujh  ko  vo  pidar  achchhā  nahīñ  lagtā
hadaf  ho  sāmne  'anvār'  to  chalte  hī  rahte  haiñ
sarāboñ  kā  ham  ko  safar  achchhā  nahīñ  lagtā