Tabish Dehlvi

باغ میں جوشِ بہار آخر یہاں تک آ گیا

Tabish Dehlvi

Delhi, India

1911-2004
manziloñ ko nazar meñ rakkhā hai
jab qadam rahguzar meñ rakkhā hai
ik hayūlā hai ghar ḳharābī kaa!
varna kyā ḳhaak ghar meñ rakkhā hai
ham ne husn-e-hazār-sheva ko
jalva jalva nazar meñ rakkhā hai
chāhiye sirf himmat-e-parvāz
baaġh to bāl-o-par meñ rakkhā hai
haram-o-dair se alag ham ne
abhī ik sajda sar meñ rakkhā hai
merī himmat ne apnī manzil kā
fāsla rahguzar meñ rakkhā hai
raat din dhuup chhāñv kā aalam
kyā tamāshā nazar meñ rakkhā hai
Top Urdushayar.com