Tabish Dehlvi

TuT kar ahd-e-tamanna ki tarah

Tabish Dehlvi

Delhi, India

1911-2004
TuuT kar ahd-e-tamannā kī tarah
mo'tabar ham rahe fardā kī tarah
shauq-e-manzil to bahut hai lekin
chalte haiñ naqsh-e-kaf-e-pā kī tarah
jā mileñge kabhī gulzāroñ se
phailte jā.eñge sahrā kī tarah
dekh kar hāl-e-pareshāñ apnā
ham bhī hañs lete haiñ duniyā kī tarah
kabhī pāyāb kabhī tūfānī
ham bhī haiñ dasht ke dariyā kī tarah
mahfil-e-nāz meñ rahiye lekin
dekhiye chashm-e-tamāshā kī tarah
apne dushman se huuñ vāqif 'tābish'
kisī derīna shanāsā kī tarah
Top Urdushayar.com