aao  dekheñ  ahl-e-vafā  kī  hotī  hai  tauqīr  kahāñ
kis  mahfil  kā  naam  hai  maqtal  khiñchtī  hai  shamshīr  kahāñ
chhūT  na  pāoge  dil  vaalo  chāhat  ke  is  zindāñ  se
chāho  to  dil  TuuT  bhī  jaa.eñ  TūTegī  zanjīr  kahāñ
chashm-e-sahar  meñ  aas  umiid  kyā  aañsū  kī  ik  buuñd  nahīñ
yuuñ  dāman  phailā.e  chale  haiñ  rātoñ  ke  rahgīr  kahāñ
sadiyoñ  ke  pahchāne  ḳhvāboñ  se  bojhal  in  āñkhoñ  ko
anjāne  ḳhvāboñ  ke  shahr  meñ  le  aa.ī  ta.abīr  kahāñ
ik  vīrāna  ek  shajar  kuchh  saa.e  do  pyāsī  āñkheñ
dekheñ  sajegī  din  ke  makān  meñ  raat  kī  ye  tasvīr  kahāñ
vaqt  kā  dariyā  le  bhī  gayā  vo  sab  jo  dil-o-jāñ  se  thā  aziiz
DhūñDh  rahe  ho  sāhil  par  ab  aañsū  kī  tahrīr  kahāñ