ye  ġhazal  kī  anjuman  hai  zarā  ehtimām  kar  lo
kisī  ġham  ko  mai  banā  lo  kisī  dil  ko  jaam  kar  lo
kahāñ  sub.h-e-ġham  kā  sūraj  kahāñ  shaam  kā  sitāra
isī  ruḳh  pe  zulf  bikhre  yahī  sub.h-o-shām  kar  lo
vo  habīb  ho  ki  rahbar  vo  raqīb  ho  ki  rahzan
jo  dayār-e-dil  se  guzre  use  ham-kalām  kar  lo
ye  kahāñ  ke  mohtasib  haiñ  ye  kahāñ  kī  maslahat  hai
jo  unheñ  nahīñ  mayassar  vahī  shai  harām  kar  lo