zaḳhm-e-nazāra  ḳhūn-e-nazar  dekhte  raho
jo  kuchh  dikhā.e  dīda-e-tar  dekhte  raho
chashm-e-sadaf  ke  dard  se  sarf-e-nazar  karo
kis  tarah  TūTte  haiñ  guhar  dekhte  raho
shāyad  kisī  kā  naqsh-e-kaf-e-pā  chamak  uThe
ai  rahnumāo  rāhguzar  dekhte  raho
gesū-e-shab  sañvārne  vaalo  kabhī  kabhī
ā.īna-e-nigār-e-sahar  dekhte  raho
āñkhoñ  meñ  ghul  na  jaa.eñ  kahīñ  zulmatoñ  ke  rañg
jis  samt  raushnī  hai  udhar  dekhte  raho