ye  qissa-e-ġham-e-dil  hai  to  bāñkpan  se  chale
kisī  nigāh  pe  Thahre  kisī  badan  se  chale
na  jaane  kis  ke  karam  se  khile  kalī  dil  kī
sumūm-e-dasht  se  uThe  sabā  chaman  se  chale
vo  aa.e  dil  meñ  to  yuuñ  jaise  shaam  kā  taara
misāl-e-māh  sitāroñ  kī  anjuman  se  chale
fasāne  chāk-e-garebāñ  ke  paḌ  ga.e  phīke
junūñ  kī  baat  kabhī  tere  pairahan  se  chale
hujūm-e-sub.h  kī  tanhā.iyoñ  meñ  Duub  ga.e
vo  qāfile  jo  añdheroñ  kī  anjuman  se  chale