hameñ  bhūlā  nahīñ  afsāna  dil  kā
abhī  hāthoñ  meñ  hai  paimāna  dil  kā
dhuāñ  uThtā  nazar  aatā  hai  har-sū
abhī  ābād  hai  vīrāna  dil  kā
jahāñ  bikhrī  hai  ab  ḳhākistar-e-dil
usī  jā  thā  kabhī  kāshāna  dil  kā
abhī  tak  yaad  haiñ  vo  din  ki  jab  thā
har  ik  āvāra  ġham  dīvāna  dil  kā
vo  ummīdoñ  kā  ik  halkā  tabassum
dhaḌak  uThnā  vo  betābāna  dil  kā
kisī  aañsū  kī  ġham  hotī  sadā  par
larazna  Dūbnā  ghabrānā  dil  kā
ġham-e-daurāñ  ġham-e-jānāñ  ġham-e-jāñ
har  ik  manzil  pe  thā  nazrāna  dil  kā
khile  jaate  the  gul  har  har  qadam  par
kahīñ  bhī  qāfila  Thahrā  na  dil  kā
tilism-e-rañg-o-bū  thā  TūTne  tak
Thikāna  phir  na  thā  gul  kā  na  dil  kā
udhar  armāñ  idhar  ehsās-e-hirmāñ
chhuTā  kis  moḌ  par  yārāna  dil  kā
hameñ  bāda-kash-e-dard-e-tamannā
hamīñ  par  band  hai  mai-ḳhāna  dil  kā