Dūbte  tāroñ  se  pūchho  na  qamar  se  pūchho
qissa-e-ruḳhsat-e-shab  sham-e-sahar  se  pūchho
kis  ne  bahlāyā  ḳhizāñ  ko  gul-e-tar  se  pūchho
gul  pe  kyā  guzrī  bahāroñ  ke  jigar  se  pūchho
kaun  royā  pas-e-dīvār-e-chaman  āḳhir-e-shab
kyuuñ  sabā  lauT  ga.ī  rāhguzar  se  pūchho
raat  bhar  diip  sar-e-rāh  jale  kis  ke  liye
kyuuñ  añdherā  thā  bhare  ghar  meñ  qamar  se  pūchho
kis  ke  dāman  se  lagī  nik.hat-e-gul  rotī  hai
kaun  hotā  hai  judā  jī  ke  nagar  se  pūchho
ek  āvāz  to  gūñjī  thī  ufuq-tā-ba-ufuq
kārvāñ  gum  hai  kahāñ  gard-e-safar  se  pūchho