ġham-e-habīb  ġham-e-do-jahāñ  nahīñ  hotā
agar  ḳhulūs-e-vafā  be-karāñ  nahīñ  hotā
diloñ  kī  aag  baḌhāo  ki  log  kahte  haiñ
charāġh-e-husn  se  raushan  jahāñ  nahīñ  hotā
tirī  nigāh-e-karam  hī  kā  ye  asar  to  nahīñ
jahāñ  meñ  ham  pe  koī  mehrbāñ  nahīñ  hotā
shu.ūr-e-manzil-e-maqsūd  bhī  hai  shart-e-safar
hujūm-e-rāh-ravāñ  kārvāñ  nahīñ  hotā