Amir Nazar

zamin ke jism pe yun yurish-e-qaza kab tak

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990

zamīñ ke jism pe yuuñ yūrish-e-qazā kab tak

falak-nashīnoñ yūñhī ġham silsila kab tak

abhī se uThne lage haiñ savāl ke lashkar

to phir ai raqs-e-fusūñ shor-e-be-sadā kab tak

sitāre apnī ziyā libās de na sake

urūs-e-shab ke badan par phaTī ridā kab tak

tamām umr lahū ḳhirāj baḳhsheñge

rahegā tauq-o-salāsil se vāsta kab tak

havā.eñ shāḳh-e-falak se sadā lagātī haiñ

ġhubār-e-rāh meñ rah pā.egī anā kab tak

sukūt-e-shām se ghabrā na ai shafaq-tābī

rukā rahegā bhalā shab qāfila kab tak

likho bhī lamha-e-be-tan pe zindagī 'āmir'

likhoge apne muqaddar marsiya kab tak

Top Urdushayar.com