Amir Nazar

jo bhi kuchh taq-e-KHayalat pe rah jate hain

Amir Nazar

Patna, Bihar, India

1990

jo bhī kuchh tāq-e-ḳhayālāt pe rah jaate haiñ

ziist ke ḳheme usī baat pe rah jaate haiñ

sham-e-sā.at ne bahut aks tarāshā lekin

kuchh hayūle dar-e-zulmāt pe rah jaate haiñ

dil ne to lashkar-e-shādāb sambhālā hai magar

ḳhār-o-ḳhas phir bhī makānāt pe rah jaate haiñ

tishnagī aisī ki dariyā lahū kar bhī

sabr ke qarz mukāfāt pe rah jaate haiñ

raqs-e-nāhīd sar-e-shāḳh tamāsha na huā

ā.īne hosh ke jab haath pe rah jaate haiñ

kab talak sīna-e-sad-chāk mātam hogā

sab ruke tesha-e-hālāt pe rah jaate haiñ

kaise tārīḳh bane koī hikāyat 'āmir'

hāshiye aaj bhī safhāt pe rah jaate haiñ

Top Urdushayar.com