ta.alluqāt ke saare diye bujhe hue the
ajiib haal thā jab un se rābte hue the
hamāre aks ke pahlū se ho ga.e ḳhā.if
hamāre sāmne jo ḳhud ke ā.īne hue the
nigāh raat kā ziina talāsh kartī rahī
sulagte ḳhvāb kisī taaq par rakhe hue the
ḳhushī milī to masāfat kā ġham bhulā baiThe
go rāh-e-zīst pe yuuñ kitne aable hue the
vo tīrgī kā lahū thā ki chāñdnī kā surūr
sahar ke naam ka.ī zā.iqe likhe hue the
mire vajūd ko taqsīm kar diyā sab ne
zamīñ ke jism pe kuchh aise sānehe hue the
barāh-e-rāst kisī kā nishāñ nahīñ 'āmir'
so falsafe dar-o-dīvār par saje hue the