Nahid Qamar

jis ki talab mein umr ka sauda nahin hua

Nahid Qamar

jis kī talab meñ umr kā saudā nahīñ huā
us ḳhvāb kā sarāb bhī apnā nahīñ huā
apnī salīb sar pe liye chal rahe haiñ log
shahr-e-sazā meñ koī kisī kā nahīñ huā
kahne ko jī sambhal to gayā hai magar kahīñ
ik dard hai ki jis kā mudāvā nahīñ huā
us ne mire baġhair guzārī hai zindagī
is āgahī kā zahr gavārā nahīñ huā
ab bhī hai mo'tabar to ḳhudā kī atā hai ye
varna vafā ke naam pe kyā kyā nahīñ huā
ai harf-e-bāryāb tirī ḳhair par vo log
jin par dar-e-qubūl kabhī vā nahīñ huā
Top Urdushayar.com