Idris Babar

main use sochta raha yani

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
maiñ use sochtā rahā ya.anī
vo mirā ḳhvāb hai ḳhudā ya.anī
hijr se hijr tak thī ye hijrat
vo milā ya.anī kho gayā ya.anī
gardish-e-mehr-o-māh kā hāsil
ya.anī merā vajūd lā-yānī
dil kahāñ shahsavār-e-duniyā thā
so girā gir ke mar gayā ya.anī
to mujhe us kā naam bhuul gayā
ho gayā maiñ bhī lāpatā ya.anī
kaam kī baat pūchhte kyā ho
kuchh huā kuchh nahīñ huā ya.anī
chalte rahiye to suukh jā.egā
ye samundar ye aabla ya.anī
ya.anī tum se to maiñ milā hī nahīñ
vo koī aur shaḳhs thā ya.anī
koī āvāz TūTne kī nahīñ
dil meñ ik baat hai ḳhalā ya.anī
us ko ḳhush dekh kar vahāñ 'bābar'
maiñ bhī ḳhush thā udaas thā ya.anī
Top Urdushayar.com