Shabbir Shahid

mai-e-faraghat ka aaKHiri daur chal raha tha

Shabbir Shahid

mai-e-farāġhat kā āḳhirī daur chal rahā thā
subū kināre visāl kā chāñd Dhal rahā thā
vo saaz kī lai ki nāchtā thā lahū ragoñ meñ
vo hiddat-e-mai ki lamha lamha pighal rahā thā
fazā meñ lahrā rahe the afsurdagī ke saa.e
ajab ghaḌī thī ki vaqt bhī haath mal rahā thā
sakūñ se mahrūm thiiñ tarab-gāh kī nashisteñ
ki ik nayā iztirāb jismoñ meñ chal rahā thā
nigāheñ dāvat kī mez se duur kho ga.ī thiiñ
tamām zehnoñ meñ ek saaya sā chal rahā thā
havā-e-ġhurbat kī lahr anfās meñ ravāñ thī
na.e safar kā charāġh sīnoñ meñ jal rahā thā
bhaḌak rahī thī diloñ meñ hasrat kī pyaas lekin
vahīñ na.ī aarzū kā chashma ubal rahā thā
badan pe taarī thā ḳhauf gahre samundaroñ kā
ragoñ meñ shauq-e-shanāvarī bhī machal rahā thā
na jaane kaisā thā inqalāb-e-sahar kā aalam
badal rahī thī nazar ki manzar badal rahā thā
Top Urdushayar.com