Idris Babar

KHamosh rah ke zawal-e-suKHan ka gham kiye jaen

Idris Babar

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1973
ḳhamosh rah ke zavāl-e-suḳhan kā ġham kiye jaa.eñ
savāl ye hai ki yuuñ kitnī der ham kiye jaa.eñ
ye naqsh-gar ke liye sahal bhī na ho shāyad
ki ham se aur bhī is ḳhaak par raqam kiye jaa.eñ
ka.ī guzishta zamāne ka.ī shikasta nujūm
jo dastaras meñ haiñ lafzoñ meñ kaise zam kiye jaa.eñ
ye goshvāre zabāñ ke bahut sambhāl chuke
sau sher kaaT diye jaa.eñ ḳhvāb kam kiye jaa.eñ
terā ḳhayāl bhī aa.e to kitnī der talak
ka.ī ġhazāl mire dasht-e-dil meñ ram kiye jaa.eñ
maiñ jāntā huuñ ye mumkin nahīñ magar ai dost
maiñ chāhtā huuñ ki vo ḳhvāb phir baham kiye jaa.eñ
hisāb dil kā rakheñ ham ki dahr kā 'bābar'
shumār daaġh kiye jaa.eñ yā diram kiye jaa.eñ
Top Urdushayar.com