dekho  firāq-e-yār  meñ  jaañ  kho  rahā  hai  vo
'shahzād'  ko  sambhālo  bahut  ro  rahā  hai  vo
aa.e  na.e  jo  zaḳhm  to  ye  ruuh  ne  kahā
kuchh  der  baiTh  jaao  abhī  so  rahā  hai  vo
sahrā  kī  ḳhaak  haq  meñ  mire  kah  rahī  hai  ye
jo  honā  chāhtā  thā  vahī  ho  rahā  hai  vo
pahle  bhī  ḳhālī  haath  thā  hai  ab  bhī  ḳhālī  haath
aur  kab  se  bār-e-sūd-o-ziyāñ  Dho  rahā  hai  vo
ai  āsmāñ  tū  shukr  adā  us  kā  kījiyo
be-dil  zamīñ  ke  siine  meñ  dil  ho  rahā  hai  vo
dekho  kahāñ  kise  mile  'shahzād'  dahr  meñ
ham  ne  sunā  hai  ḳhud  ko  kahīñ  kho  rahā  hai  vo