mas.ala  huuñ  maiñ  sadā  se  kam-nigāhī  ke  liye
kaun  uTThegā  bhalā  merī  gavāhī  ke  liye
lauT  aayā  phir  se  vo  tūfān  sahrā  kī  taraf
shahr  meñ  baaqī  na  thā  kuchh  bhī  tabāhī  ke  liye
aaj  bhī  maiñ  terī  āñkhoñ  ke  jazīroñ  meñ  panāh
DhūñDhtā  phirtā  huuñ  apnī  be-panāhī  ke  liye
dil  ke  dariyā  meñ  mirī  yādoñ  kī  gahrā.ī  talak
Duub  ke  aa.egā  kaun  ab  ḳhair-ḳhvāhī  ke  liye
bolte  rahne  se  ai  'shahzād'  kuchh  hāsil  nahīñ
ḳhāmushī  darkār  hai  is  kaj-kulāhī  ke  liye