āsmāñ  tujh  se  kinārā  kahīñ  karnā  hai  mujhe
thak  gayā  uḌte  hue  aaj  utarnā  hai  mujhe
apne  zaḳhmoñ  kī  havā  dī  hai  kisī  sāhil  ko
apne  ashkoñ  se  samundar  koī  bharnā  hai  mujhe
chāñd  kī  naav  huī  raat  ke  sailāb  meñ  ġharq
phir  se  sūraj  kī  kiran  ban  ke  ubharnā  hai  mujhe
yaad  aatā  hai  bikhar  jaanā  mirī  hastī  kā
aur  us  zulf  kā  kahnā  ki  sañvarnā  hai  mujhe
ab  ye  lagtā  hai  ki  maiñ  ḳhud  meñ  simaT  aayā  huuñ
aa  ke  chhū  le  ki  phir  ik  baar  bikharnā  hai  mujhe