mujh  ko  zinda  rahne  kā  ik  jazba  aa  ke  maar  gayā
maiñ  apnī  sāñsoñ  se  āḳhir  laḌte  laḌte  haar  gayā
apnī  nīndeñ  apnī  rāteñ  apnī  āñkheñ  apne  ḳhvāb
tum  ko  jītne  kī  ḳhātir  meñ  apnā  sab  kuchh  haar  gayā
jaisī  chīzeñ  mujh  meñ  thiiñ  sab  vaisī  duniyā  meñ  bhī  thiiñ
apne  andar  se  maiñ  bāhar  āḳhir  ko  be-kār  gayā
ishq  ke  is  saude  meñ  mujh  ko  itnā  bhī  ma.alūm  nahīñ
kitnī  terī  nafrat  aa.ī  kitnā  merā  pyaar  gayā
yaad  rakheñge  duniyā  vaale  merī  is  qurbānī  ko
pahle  junūñ  ko  aam  kiyā  aur  phir  maiñ  sū-e-dār  gayā