is  qadar  ḳhud  pe  ham  jafā  na  kareñ
jism  ko  jaan  se  judā  na  kareñ
ashk  az  chashm-e-man  judā  nashivad
aap  aisī  kabhī  duā  na  kareñ
aao  ahd-e-vafā  kareñ  donoñ
aur  ahd-e-vafā  vafā  na  kareñ
phuul  ban  kar  mahakne  lagte  haiñ
aap  zaḳhmoñ  ko  yuuñ  chhuā  na  kareñ
duur  maanā  zamīn  hai  us  se
āsmāñ  se  magar  kahā  na  kareñ
aur  bhī  kuchh  mazīd  dahkegī
aag  ko  yuuñ  havā  diyā  na  kareñ
kaise  bhūleñge  mujh  ko  un  se  kaho
zikr  itnā  mirā  kiyā  na  kareñ
ham  bhī  insān  haiñ  farishte  nahīñ
ye  to  mumkin  nahīñ  ḳhatā  na  kareñ