Syed Ahmed Shameem

wo dasht-e-tirgi hai ki koi sada na de

Syed Ahmed Shameem

1933-1993
vo dasht-e-tīrgī hai ki koī sadā na de
saaya bhī mere jism kā mujh ko patā na de
nā-āgahī kī raat bhī kitnī latīf thī
ye āgahī kī dhuup hai chehra jalā na de
ḳhvāboñ kā ik latīf sā hai aks zehn par
bād-e-sumūm-e-vaqt ise bhī miTā na de
chashm-e-ġhazāl jhiil kā manzar hasīn maut
merī taraf na dekh mujhe ye sazā na de
dil se bhī us nigāh kā jaadū chhupā liyā
nādāñ hai sādgī meñ kahīñ kuchh batā na de
shā.istagī kā jabr ki royā na jā sakā
chup-chāp dil kī aag badan ko ghulā na de
ik pal ko bhī sukūn na de zindagī 'shamīm'
aur bhāgnā bhī chāhūñ to ye rāstā na de
Top Urdushayar.com