Mahendra Partap Chand

roz-o-shab aur nae arz-o-sama mange hai

Mahendra Partap Chand

Karor Lal Esan, Punjab, Pakistan

1935

roz-o-shab aur na.e arz-o-samā māñge hai

aaj daur na.ī āb-o-havā māñge hai

apnī bechārgī yuuñ to hai ehsās bahut

phir bhī dil tujh se vahī ahd-e-vafā māñge hai

dhuup meñ jhulsī huī shāḳh pe afsurda kalī

phuul banñe ke liye dast-e-sabā māñge hai

har koī yuuñ to hai bar-gashta-e-hālāt magar

har koī jiine har lahza duā māñge hai

aah vo vālid-e-be-zar javāñ beTī ke

suune hāthoñ ke liye rañg-e-hinā māñge hai

ye na.e taur ye andāz mujhe raas nahīñ

merī tahzīb vahī sharm-o-hayā māñge hai

saiñkaḌoñ ne.amatoñ se us ne navāzā hai tujhe

aur ab 'chāñd' allāh se kyā māñge hai

Top Urdushayar.com