Alok Mishra

aankhon ka pura shahr hi sailab kar gaya

Alok Mishra

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1985
āñkhoñ kā puurā shahr hī sailāb kar gayā
ye kaun mujh meñ nazm kī sūrat utar gayā
jañgal meñ terī yaad ke jugnūñ chamak uThe
maidāñ siyāh-shab kā ujāloñ se bhar gayā
varna siyāh raat meñ jhulsā huā thā maiñ
ye to tumhārī dhuup meñ kuchh kuchh nikhar gayā
jhūmā thirakte nāchte joḌoñ meñ kuchh ghaḌī
dil phir na jaane kaisī udāsī se bhar gayā
donoñ anā meñ chuur the an-ban sī ho ga.ī
rishta nayā nayā sā thā kuchh din meñ mar gayā
pahle kuchh ek din to kaTī mushkiloñ meñ raat
phir terā hijr merī ragoñ meñ utar gayā
hāthoñ se apne ḳhud hī nasheman ujaaḌ kar
dekho udaas ho ke parinda kidhar gayā
ik chīḳh āsmān ke dāman meñ so ga.ī
dil kī zamīñ pe dard har ik sū bikhar gayā
Top Urdushayar.com