mire  dukh  dard  har  ik  aañkh  se  ojhal  paḌe  the
shukr-sad-shukr  ki  bas  ruuh  pe  hī  bal  paḌe  the
kisī  maqsad  se  tire  paas  nahīñ  aa.e  haiñ
kahīñ  jaanā  hī  thā  so  terī  taraf  chal  paḌe  the
ek  maiñ  hī  nahīñ  shab  chhat  pe  basar  kartā  thā
chāñd  ke  pīchhe  ka.ī  aur  bhī  pāgal  paḌe  the
kaisā  nazzārā  thā  kohsāroñ  kī  shahzādī  kā
baam  par  vo  khaḌī  thī  farsh  pe  bādal  paḌe  the
jald-bāzoñ  ne  bichhaḌne  meñ  baḌī  ujlat  kī
ek  ik  mas.ale  ke  varna  ka.ī  hal  paḌe  the
ḳhud  se  ḳhud  tak  kā  safar  sahl  nahīñ  thā  itnā
rāste  meñ  ka.ī  dariyā  ka.ī  jañgal  paḌe  the
ijz  ke  ashk  bahāte  hue  shab  so  gayā  maiñ
sub.h  uTThā  to  mire  kaam  mukammal  paḌe  the
dhyān  tayyārī  kā  aayā  hī  nahīñ  ham  ko  'aqīl'
safar-e-ishq  thā  be-raḳht-e-safar  chal  paḌe  the