ek  hī  dasht  thā  vo  bhī  na  khañgālā  maiñ  ne
dil  pe  lenā  nahīñ  thā  paañv  kā  chhālā  maiñ  ne
ghar  ke  Dah  jaane  meñ  ġhaflat  mirī  shāmil  thī  magar
saarā  malba  dar-o-dīvār  pe  Daalā  maiñ  ne
kaash  maiñ  apne  azā-dāroñ  ko  batlā  saktā
kaisā  dukh  thā  vo  jise  maut  se  Taalā  maiñ  ne
āḳhir-e-kār  ġhulāmī  se  baġhāvat  kar  dī
aur  zanjīr  ko  shamshīr  meñ  Dhālā  maiñ  ne
yuuñ  to  har  shaḳhs  yahāñ  aañkh  liye  phirtā  hai
par  nahīñ  dekhā  koī  dekhne  vaalā  maiñ  ne
aur  phir  ik  roz  hamesha  ke  liye  kho  gayā  maiñ
ya.anī  ik  roz  use  DhūñD  nikālā  maiñ  ne