ḳhamīda  raah  ko  sīdhā  ġhalat  batāyā  hai
kisī  ne  andhoñ  ko  rasta  ġhalat  batāyā  hai
zarūr  chor  thā  is  marne  vaale  ke  dil  meñ
tabhī  ḳhazāne  kā  naqsha  ġhalat  batāyā  hai
maiñ  ek  baat  batātā  magar  buzurgoñ  ne
har  ek  baat  batānā  ġhalat  batāyā  hai
yahāñ  pe  rahtā  nahīñ  koī  qais  naam  kā  shaḳhs
kisī  ne  aap  ko  sahrā  ġhalat  batāyā  hai
ye  ziist  vāqa.ī  mushkil  hai  yā  mujhe  dil  ne
guzārne  kā  tarīqa  ġhalat  batāyā  hai
hamārī  dar-badarī  kyuuñ  pasand  hai  us  ko
na-jāne  kyuuñ  patā  apnā  ġhalat  batāyā  hai
jadīd  daur  ke  darvesh  haiñ  'aqīl'  hamīñ
harīf  ne  sag-e-duniyā  ġhalat  batāyā  hai