galiyoñ  meñ  lahū-rezī  kā  kuchh  hal  nikal  aa.e
log  is  liye  ḳhud  jānib-e-maqtal  nikal  aa.e
maiñ  kāsa-ba-dastoñ  ke  qabīle  kā  huuñ  lekin
ḳhush-qismatī  se  haath  mire  shal  nikal  aa.e
rone  se  mujhe  ḳhalq-e-ḳhudā  rok  rahī  thī
phir  merī  taraf-dārī  meñ  bādal  nikal  aa.e
ik  sat.h-e-mohabbat  pe  khaḌā  soch  rahā  huuñ
aisā  na  ho  ye  jhiil  bhī  daldal  nikal  aa.e
afsos  ki  ab  bhī  haiñ  tire  daam  meñ  kuchh  kuchh
ham  samjhe  the  is  baar  mukammal  nikal  aa.e
ābād  rahe  shahr-e-ḳhamoshāñ  kise  ma.alūm
mujh  aisā  musāfir  yahāñ  kis  pal  nikal  aa.e