dariyā  nazar  na  aa.e  na  sahrā  dikhā.ī  de
josh-e-junūñ  ho  jis  ko  use  kyā  dikhā.ī  de
maiñ  aa  gayā  kahāñ  ki  ye  hasrat  nazar  ko  hai
ai  kaash  is  jagah  koī  apnā  dikhā.ī  de
ḳhandāñ-jabīñ  laboñ  pe  hañsī  pur-ḳhulūs  dil
daur-e-tarab  meñ  koī  to  aisā  dikhā.ī  de
ḳhvāhāñ  haiñ  vo  ki  saarā  zamāna  ho  un  ke  saath
auroñ  ko  chāhte  haiñ  ki  tanhā  dikhā.ī  de
'aḳhtar'  ko  dekhte  nahīñ  achchhī  nazar  se  aap
phir  bhī  ye  chāhte  haiñ  ki  achchhā  dikhā.ī  de