hamāre  haq  meñ  duā  karegā
vo  ik  na  ik  din  vafā  karegā
bichhaḌ  gayā  hai  magar  yaqīñ  hai
kabhī  kabhī  vo  milā  karegā
tū  apne  āshiq  ko  saath  rakh  le
bichhaḌ  gayā  to  nasha  karegā
jo  apnī  hālat  kā  ḳhud  sabab  ho
vo  kyā  kisī  se  gilā  karegā
agar  ye  duniyā  ujaḌ  ga.ī  to
kabhī  ye  sochā  hai  kyā  karegā
maiñ  jāntā  huuñ  ki  ik  farishta
jo  zindagī  se  rihā  karegā
abhī  tū  shā.ir  nahīñ  hai  'rāv'
ḳhudā  vo  din  bhī  atā  karegā