kahīñ  azaab  kahīñ  par  savāb  likhte  haiñ
farishte  roz  hamārā  hisāb  likhte  haiñ
bahut  se  log  to  aise  bhī  haiñ  isī  yug  meñ
kitāb  paḌhte  nahīñ  haiñ  kitāb  likhte  haiñ
vo  apne  jism  ke  ḳhānoñ  meñ  aag  rakhte  haiñ
gulāb  hote  nahīñ  haiñ  gulāb  likhte  haiñ
yahāñ  ke  log  to  ta.abīr  jānte  hī  nahīñ
ye  apne  niiñd  meñ  rahne  ko  ḳhvāb  likhte  haiñ
tumhāre  zulm  tumhāre  sitam  nahīñ  likhte
ham  apne  aap  kī  qismat  ḳharāb  likhte  haiñ