tanhā.iyoñ  kī  god  meñ  pal  kar  baḌā  huā
bachpan  se  apne  aap  sambhal  kar  baḌā  huā
ġhairoñ  ko  apnā  maan  ke  jiitā  rahā  huuñ  maiñ
is  rāh-e-pul-sirāt  pe  chal  kar  baḌā  huā
maiñ  ne  kabhī  bhī  raat  se  shikva  nahīñ  kiyā
har  shab  kisī  charāġh  sā  jal  kar  baḌā  huā
patthar  se  koī  vāsta  matlab  na  thā  magar
har  aa.ine  kī  aañkh  meñ  khal  kar  baḌā  huā
maḳhmal  kī  chādaroñ  kā  mujhe  kyā  pata  ki  maiñ
kāñToñ  ke  bistaraoñ  ko  masal  kar  baḌā  huā