sanjīda  tabī.at  kī  kahānī  nahīñ  samjhe
āñkho  meñ  rahe  aur  vo  paanī  nahīñ  samjhe
ek  sher  huā  yuuñ  ki  kaleje  se  lagā  hai
dariyā  meñ  utar  kar  bhī  ravānī  nahīñ  samjhe
kyā  ḳhat  meñ  likhā  jaa.e  ki  samjhā.e  unheñ  ham
jo  sāmne  rah  kar  bhī  zabānī  nahīñ  samjhe
bachpan  ko  luTāyā  hai  javānī  ke  liye  yaar
ham  log  javānī  ko  javānī  nahīñ  samjhe
pahle  to  kahā  'rāv'  koī  sher  sunāo
phir  dost  mirī  baat  ke  ma.anī  nahīñ  samjhe