aañkh  meñ  aañsū  nahīñ  shabnam  nahīñ  kuchh  ġham  nahīñ
zaḳhm  haiñ  jin  par  koī  marham  nahīñ  kuchh  ġham  nahīñ
dard  vo  de  kar  musalsal  hālat-e-dil  pūchhte  haiñ
ye  ināyat  bhī  to  un  kī  kam  nahīñ  kuchh  ġham  nahīñ
raat  kā  pichhlā  pahar  hai  aur  ham  ḳhāna-ba-dosh
koī  dar-dīvār  kā  mātam  nahīñ  kuchh  ġham  nahīñ
har  taraf  haiñ  ḳhuun  se  rañgīn  kapḌe  aur  tan
ye  hamāre  shauq  kā  aalam  nahīñ  kuchh  ġham  nahīñ
sab  Dare  sahme  hue  se  gum  haiñ  apne  aap  meñ
har  koī  shāmil  hai  is  meñ  ham  nahīñ  kuchh  ġham  nahīñ