batā.ūñ  kaise  ki  sach  bolnā  zarūrī  hai
ta.alluqāt  meñ  ye  tajraba  zarūrī  hai
nazar  haTā  bhī  to  saktī  hai  kam-nazar  duniyā
vahīñ  hai  bhiiḌ  jahāñ  taḳhliya  zarūrī  hai
tire  baġhair  koī  aur  ishq  ho  kaise
ki  mushrikoñ  ke  liye  bhī  ḳhudā  zarūrī  hai
nahīñ  to  shahr  ye  so  jā.egā  sadā  ke  liye
mujhe  ḳhabar  hai  mirā  bolnā  zarūrī  hai
kisī  ko  hotā  nahīñ  yuuñ  mohabbatoñ  kā  yaqīñ
charāġh  bujh  ke  batā.e  havā  zarūrī  hai
maiñ  ḳhud  ko  bhūltā  jaatā  huuñ  aur  aise  meñ
tirā  pukārte  rahnā  baḌā  zarūrī  hai
vo  merī  ruuh  kī  āvāz  sun  rahā  hogā
badan  rahe  na  rahe  rābta  zarūrī  hai