ab  aisī  vaisī  mohabbat  ko  kyā  sambhālūñ  maiñ
ye  ḳhār-o-ḳhas  kā  badan  phūñk  hī  na  Dālūñ  maiñ
gar  ek  dil  se  nahīñ  bhartā  mere  yaar  kā  dil
to  ik  badan  meñ  bhalā  kitne  saañp  pālūñ  maiñ
na  qabr  kī  hai  jagah  shahr  meñ  na  masjid  kī
batāo  ruuh  ke  kāñTe  kahāñ  nikālūñ  maiñ
sadāqatoñ  pe  burā  vaqt  aane  vaalā  hai
ab  us  ke  kāñpte  hāthoñ  se  ā.īna  luuñ  maiñ
ka.ī  zamāne  mirā  intizār  karte  haiñ
zamīñ  ruke  to  koī  rāstā  nikālūñ  maiñ
maiñ  aañkh  khol  ke  chalne  kī  lat  na  chhoḌ  sakā
nahīñ  to  ek  na  ik  roz  ḳhud  ko  pā  luuñ  maiñ
hazār  zaḳhm  mile  haiñ  magar  nahīñ  miltā
vo  ek  sañg  jise  aa.ina  banā  luuñ  maiñ
suno  maiñ  hijr  meñ  qaa.el  nahīñ  huuñ  rone  kā
kaho  to  jashn  ye  apnī  tarah  manā  luuñ  maiñ