zahr  to  lā-javāb  thā  us  kā
din  hī  shāyad  ḳharāb  thā  us  kā
jabki  merā  savāl  sīdhā  thā
phir  bhī  ulTā  javāb  thā  us  kā
vo  mahz  dhuup  kā  musāfir  thā
ham-safar  āftāb  thā  us  kā
aañkh  jaise  koī  samundar  ho
aur  lahja  sharāb  thā  us  kā
mutma.in  thā  vo  zaat  se  apnī
ḳhud  hī  vo  intiḳhāb  thā  us  kā