bhare  hue  haiñ  abhī  raushnī  kī  daulat  se
diye  jalā.eñge  ham  bhī  magar  zarūrat  se
bahut  se  ḳhvāb  haqīqat  meñ  dil-navāz  na  the
bahut  se  log  chale  aa  rahe  haiñ  jannat  se
usī  nigāh  se  phir  tum  ne  mujh  ko  dekh  liyā
badan  utaar  kar  aayā  thā  kitnī  mehnat  se
yahī  ki  tū  baḌā  ḳhush-hāl  hai  ḳhudāvandā
zarā  pata  nahīñ  chaltā  jahāñ  kī  hālat  se
chamakte  chāñd  sitāroñ  ko  dafn  kar  aa.e
bujhe  charāġh  ko  rakkhā  gayā  hifāzat  se
badan  ke  taaq  meñ  jalte  haiñ  bas  badan  ke  diip
ye  raushnī  hai  bahut  kam  mirī  zarūrat  se
phir  is  mazāq  ko  jamhūriyat  kā  naam  diyā
hameñ  Darāne  lage  vo  hamārī  tāqat  se