kisī  ke  saa.e  kisī  kī  taraf  lapakte  hue
nahā  ke  raushniyoñ  meñ  lage  bahakte  hue
ye  rañg  rañg  ke  paikar  ye  tez  mausīqī
har  ik  badan  pe  ka.ī  zaḳhm  haiñ  thirakte  hue
bahut  se  log  the  raqsāñ  magar  alaav  ke  gird
kisī  ko  dekhā  nahīñ  is  tarah  damakte  hue
ye  haq-parastoñ  kī  bastī  ujaḌ  na  jaa.e  kahīñ
mujhe  mile  haiñ  ka.ī  ā.īne  sisakte  hue
ye  kaun  sāmne  baiThā  hai  ḳhūb-rū  aisā
malāl  hone  lage  aañkh  bhī  jhapakte  hue
ab  aise  ḳhauf  ke  saa.e  meñ  ḳhvāb  dekheñ  kyā
yahāñ  to  aañkh  bhī  Darne  lagī  jhapakte  hue