din-ba-din  ghaTtī  huī  umr  pe  nāzil  ho  jaa.e
ik  badan  aur  mirī  ruuh  ko  hāsil  ho  jaa.e
morche  kholtā  rahtā  huuñ  samundar  ke  ḳhilāf
jis  ko  miTnā  hai  vo  aa.e  mirā  sāhil  ho  jaa.e
khel  hī  khel  meñ  chhū  luuñ  maiñ  kinārā  apnā
aise  so.uuñ  ki  jagānā  mujhe  mushkil  ho  jaa.e
lag  ke  bīmār  ke  siine  se  na  ronā  aise
zindagānī  kī  tarah  maut  bhī  mushkil  ho  jaa.e
rakh  rahe  haiñ  tire  patthar  mire  zaḳhmoñ  kā  hisāb
ab  ye  majma.a  bhī  mire  kashf  kā  qaa.el  ho  jaa.e
is  qadar  der  na  karnā  ki  ye  āseb-nagar
raat  kā  ruup  le  aur  jism  meñ  dāḳhil  ho  jaa.e
jañg  apnoñ  se  hai  to  dil  ko  kināre  kar  luuñ
rāste  meñ  yahī  talvār  na  haa.el  ho  jaa.e