āsmānoñ  se  zamīñ  kī  taraf  aate  hue  ham
ek  majme  ke  liye  sher  sunāte  hue  ham
kis  gumāñ  meñ  haiñ  tire  shahr  ke  bhaTke  hue  log
dekhne  vaale  palaT  kar  nahīñ  jaate  hue  ham
kaisī  jannat  ke  talabgār  haiñ  tū  jāntā  hai
terī  likkhī  huī  duniyā  ko  miTāte  hue  ham
rail  dekhī  hai  kabhī  siine  pe  chalne  vaalī
yaad  to  hoñge  tujhe  haath  hilāte  hue  ham
toḌ  Dāleñge  kisī  din  ghane  jañgal  kā  ġhurūr
lakḌiyāñ  chunte  hue  aag  jalāte  hue  ham
tum  to  sardī  kī  hasīñ  dhuup  kā  chehra  ho  jise
dekhte  rahte  haiñ  dīvār  se  jaate  hue  ham
ḳhud  ko  yaad  aate  hī  be-sāḳhta  hañs  paḌte  haiñ
kabhī  ḳhat  to  kabhī  tasvīr  jalāte  hue  ham