tabāh  ḳhud  ko  use  lā-zavāl  karte  haiñ
hamāre  log  junūñ  meñ  kamāl  karte  haiñ
magar  ye  raaz  faqat  titliyāñ  samajhtī  haiñ
chamakte  rañg  bhī  jiinā  muhāl  karte  haiñ
kabhī  kabhī  to  darindoñ  pe  pyaar  aatā  hai
tamām  shahr  kī  yuuñ  dekh-bhāl  karte  haiñ
ye  kyā  ki  dil  bhī  dukhāne  koī  nahīñ  aatā
chalo  purāne  marāsim  bahāl  karte  haiñ
bulāo  ḳhvāb-nagar  meñ  phir  us  sitāre  ko
vahī  karo  jo  sabhī  ḳhush-ḳhayāl  karte  haiñ
kisī  mazāq  pe  khul  kar  maiñ  hañs  nahīñ  paatā
hañsī  hañsī  meñ  vo  jiinā  muhāl  karte  haiñ