raat  lambī  thī  sitāra  mirā  tājīl  meñ  thā
jis  ko  jalnā  nahīñ  aayā  vahī  qindīl  meñ  thā
ik  jahāñ  aur  pas-e-kār-e-jahāñ  thā  baaqī
ik  badan  aur  mire  ishq  kī  takmīl  meñ  thā
phir  siyāhī  ne  sameTā  mirā  sāmān  aa  kar
kul  asāsa  mirā  ik  shaam  kī  zambīl  meñ  thā
ek  larza  thā  sitāroñ  ke  badan  par  taarī
maiñ  to  Duubā  huā  ik  husn  kī  tafsīl  meñ  thā
ab  to  har  chehra  use  zard  dikhā.ī  degā
der  tak  ā.īna  bīmār  kī  tahvīl  meñ  thā
jo  milā  vo  baḌī  ujlat  meñ  milā  thā  mujh  se
aur  maiñ  goyā  hamesha  se  hī  tātīl  meñ  thā