ḳhudā  muaaf  kare  zindagī  banāte  haiñ
mire  gunāh  mujhe  aadmī  banāte  haiñ
havas  hai  saare  jahānoñ  pe  hukmarānī  kī
vo  sirf  chāñd  nahīñ  raat  bhī  banāte  haiñ
mire  liye  to  muqaddas  haiñ  vo  sahīfe  bhī
jo  raushnī  ke  liye  raushnī  banāte  haiñ
na  is  hujūm  meñ  rakkho  mujhe  ḳhudā  ke  liye
jo  sher  kahte  nahīñ  shā.erī  banāte  haiñ
tabāh  kar  to  duuñ  zāhir-parast  duniyā  ko
ye  ā.īne  bhī  mire  log  hī  banāte  haiñ
maiñ  āsmān  banātā  huuñ  merī  baat  karo
yahāñ  to  chāñd  sitāre  sabhī  banāte  haiñ
maiñ  shukriya  adā  kartā  huuñ  sab  raqīboñ  kā
yahī  añdhere  mujhe  raushnī  banāte  haiñ