jo  ghaav  tum  ne  diyā  thā  vo  ghaav  zinda  hai
abhī  hañso  na  mirī  jaan  'rāv'  zinda  hai
tumhārī  dil  se  vahī  khelne  kī  aadat  hai
hamārā  apnā  vahī  rakh-rakhāo  zinda  hai
abhī  na  soch  mirī  haar  terī  jiit  huī
abhī  to  khel  meñ  antim  paḌāv  zinda  hai
Dare  Dare  hue  sahme  hue  añdhere  haiñ
charāġh  bujh  to  rahā  hai  dabāv  zinda  hai
hameñ  yaqīn  hai  'nāsir'  nahīñ  bhaTak  sakte
abhī  ġhazal  se  hamārā  lagāv  zinda  hai