saare  chaqmāq-badan  aayā  thā  tayyārī  se
raushnī  ḳhuub  huī  raat  kī  chiñgārī  se
un  daraḳhtoñ  kī  udāsī  pe  taras  aatā  hai
lakḌiyāñ  rañg  na  duuñ  aag  kī  pichkārī  se
koī  da.avā  bhī  nahīñ  kartā  masīhā.ī  kā
ham  bhī  āzād  hue  jaate  haiñ  bīmārī  se
muñh  lagāyā  hī  nahīñ  aslaha-sāzoñ  ko  kabhī
maiñ  ne  duniyā  ko  harāyā  bhī  to  dildārī  se
ishq  bhī  log  numā.ish  ke  liye  karte  haiñ
kyā  namāzeñ  bhī  paḌhī  jaatī  haiñ  ayyārī  se
saarā  bāzār  chalā  aayā  hai  ghar  meñ  phir  bhī
baaz  aate  haiñ  kahāñ  log  ḳharīdārī  se
āḳhirī  niiñd  se  pahle  kahāñ  samjheñge  ham
ḳhvāb  se  Darnā  zarūrī  hai  ki  bedārī  se
husn  jis  chhāñv  meñ  baiThā  thā  vo  qātil  to  na  thī
jal  ga.e  jism  nigāhoñ  kī  shajar-kārī  se
kam-se-kam  maiñ  to  murīd  un  kā  nahīñ  ho  saktā
jo  pas-e-raqs-e-junūñ  baiThe  haiñ  hushyārī  se