jaane  kis  ummīd  pe  chhoḌ  aa.e  the  ghar-bār  log
nafratoñ  kī  shaam  yaad  aa.e  purāne  yaar  log
vo  to  kahiye  aap  kī  ḳhushbū  ne  pahchānā  mujhe
itr  kah  kar  jaane  kyā  kyā  bechte  attār  log
pahle  māñgīñ  sar-bulandī  kī  duā.eñ  ishq  meñ
phir  havas  kī  chākarī  karne  lage  bīmār  log
aap  kī  sāda-dilī  se  tañg  aa  jaatā  huuñ  maiñ
mere  dil  meñ  rah  chuke  haiñ  is  qadar  hushyār  log
is  javāñ-mardī  ke  sadqe  jā.iye  har  baat  par
sar  kaTāne  ke  liye  rahte  haiñ  ab  tayyār  log
phailtā  hī  jā  rahā  hai  din-ba-din  sahrā-e-ishq
ḳhaak  uḌāte  phir  rahe  haiñ  sab  ke  sab  bekār  log
bādshāhat  ho  na  ho  lekin  bharam  qaa.em  rahe
har  ghaḌī  ghere  hue  baiThe  raheñ  do-chār  log